Thursday, April 8, 2010

MASTI KI PAATHSHAALA (Fun of college life)

Armaano ko sajakar, kitabo ko uthakar
Sapno ke pankh lagaye, jab pahuche
Hum masti ki paathshaala
Socha aub to jivan ki safai hogi
Sanjidgi se padai hogi.
Par ye kya pehle hi din, dhamaka hua
Raging se sabka,mukabala hua
Par ye kya ye to kisi junior ka dhamal tha
Are ye to apna hi kamaal tha
Kuch dino ki senioro se luka-chupi,ke baad
Jab humne class ka rukh kiya
To laga yaha apni kya kisi se banegi
College ki gadi patri par kese chalegi
Yahi soch ke kai din nikaal diye
Exam, result ne padai ke saare dhang nikal diye
Fir class me kai jodi bani, apni bhi ek toli bani
Jaha padai se na tha koi sarokar
Bas masti ki thi bharmar
Phir hum bhi senior bane
Kabi juniors ki julfo ko kataya humne
To kabi thappad unme lagaya humne
Har roj wo college bunk
Or jab class me jana
To teacher ka hume jate hi bhagana
Baahar aakar dum lagana
Or har roj ka wo mehfile sajana
Koi puche to kaam ka bahana banana
Or ghanto wo paido ke niche bitana
Or tiffin ka khana kha jana
Kabhi class me piche bethkar muah chalana
To kabhi bahana banakar class se chale jana
Lab me instrument or baahar logo ko fodna
Har waqt ko masti ki paathshaala banaya he humne
Har rote hue ko hasaya he humne
Dil kisi ka nahi dukhaya he humne
Apne kaarva ko 7 rango se sajaya he humne
Sapt rishi he naam humara
Us aasma ko ghar banaya he humne
Masti ki paathshaala ko chalaya he humne.