Thursday, January 27, 2011

BHARAT OR BHARTIYA

Bhartiya, Bhartiya Hone Par 
Ek Garv, Kahne Ko Ek Shabd, Ek Paribhasha,
Par Garv Kyun ??????

Jab Uska Matlab Hi Bhaar-Ki-Ati Hai..
Garv Hai shayad Desh Ke "Bhrashtachar" Par, 
Yaha Par Hone Wale "Ghotalo" Par,
Badte "Apradho" Par, 
Ya Badte "Atyacharo" Par ,

Bhartiyata ka Mudda To Kahi Reh Hi Nahi Gaya..
Har Taraf  Dharam Or Jati Ke Jhagde Hai,
Apne Hi Desh Me Hum Phela Rahe Unmaad
Phir Bhi
Kahte Hai Hum...........

Apne Desh Ke Paiso (Kaala Dhan) Se
Dusre Mulko Me Kar Raha Ujiyala.
Apne Desh Ka Jab Baccha Rahna Chahta Videsh Me..
Tab Bhi kahte Hum........

Nahi Yu Hi Nahi Kahte Ki Hame Garv hai,
Hamari Bahne Wali Rago Me Bhart To Taye Hai,
Tab Hi To Hum Bhartiya Hai..
Kitni Hi Boli Ke Log Yaha,
Tyoharo Ka Jaha Hai Sangam....

Ganga Jamuna Ki Tehzib Jaha, 
Jaha "Ram Ka Rahim" Bakhan Kare, 
Jaha "Kesariya"(FOR HINDU RELIGIOUS)
        "Safed",(FOR CRISTIAN RELIGIOUS)
        "Hara",(FOR MUSLIM RELIGIOUS)
Milkar Tiranga Banate Hai,

Jaha Me Yatharth Nahi Hota
"HUM" Se Sab Kuch  Hai Jaha,
Jaha Prem Ki Dhara Bahti Hai,
Hum Us Desh Me Rahte Hai, 
Jis Desh Ko Bhart Kahte Hai......

Yu Hi Nahi Garv Humko 
Yu Hi Khud Ko Bhartiya Nahi Kahte Hai,
 Hum Bhartiy Hai Garv Se Kahte Hai..............