Wednesday, May 18, 2011

Laut Rahe Ghar Ko Aaj Phir ,
Parinde Dhalti Ek Sham Ko,,,,,,,,,,,,


Chehchahat se Bhar Gaya Dekho Aaj Phir Aasman ,,,
Ruhani Dhalti Ek Shaam Ko ...........
Shoar To Nahi Hai Ye Par
Hai Ek Becheni Si Jo Aa Rahi Kano Tak ,


Dekho Aaj Phir Ek Shaam Ko,,,,

Kahi Chalkenge Jaam,
To Kahi Hoga Aaram,


Dekho Aaj Phir Ek Shaam Ko ..........


Ghar Jayenge Sab Apne 
Or  Mitayenge Thakan

Dekho Aaj Phir Ek Shaam Ko...


Dilo Ki Mitegi Kadwahat ,
Jab Ghosle Me Hoga Premiyon Ka Milan


Dekho Aaj Phir Ek Shaam Ko...........


Din Ke Suhane Se Safar Ke Bad
Jab Ayegi Neend, Agle Din Ko Dane Ye Paigaam
Dekho Ayegi Phir,

Ek Suhani Si Dhari Shaam




Monday, March 21, 2011

HOLI HAI

Khelenge Holi sab,
Koi udayega abeer gulal
Koi bharega rango ki pichkari,
Rango se rang jayenge gaal hamare
Har rang hoga kuch khas,
Gujiya papdi har ghar banegi 
Har muah me hogi meethas,
Par kyu hum ye baat na samajte
Un paido ke jazbat na samajte,
Jinse juda har jeevan ka sawera
Unhi ko kyu hum jala-kar karte hai ujiyala
Or phir ek lamba andhera,
Hum kyu nahi samajte
Falgun ki wo baat,jo kehte hai wo,rango bhari masti ke saath
Tan par rang dalo or mann ko rang lo,
Tan se lagte ho gale,kabhi apne dil milao
Tan se rang chhudao par mann se dwesh mitao,
Meethai se meethi nahi hoti jindgi
Accha hai apni juban me meethas lao,
Jal jeevan ka hai ang,use holi ke bahane u na bahao
Har baar manao holi kuch esi 
Jisme pyar ke rango ki ho barsat
Sab milke khele jise ek saath,
Jal jangal ko na karenge yu barbaad
Or holi manayenge gulal ke saath,

HAPPY HOLI



Tuesday, February 15, 2011

Mehfilo Me Hasi Dekhi Hai Ab Tak Tune Meri,
Tanhaiyo Ki Siskiyo Ko Tu Kya Janegi,,,,,,,,,
AA Beth Kisi Waqt Mehfil Se Kahi Dur Sath Mere ,
Tab Aansuo Ki Haqqikat Ko Tu Mere Janegi,,,,,,,,,,,,
Main Ye Nahi Kahta Ki ,,,,,, GumJada Nahi Mujhasa Koi Yaha,
Par Gum Hai Mere Sine Main Bhi Tab Hi Tu Manegi,
Hasana Kaam Hai Fankar Ka Mehfilo Me Sab Ko,
Par Hasi Ke Pichhe Ke "ASHI" Ko Tab Hi Tu Janegi,,

Thursday, January 27, 2011

BHARAT OR BHARTIYA

Bhartiya, Bhartiya Hone Par 
Ek Garv, Kahne Ko Ek Shabd, Ek Paribhasha,
Par Garv Kyun ??????

Jab Uska Matlab Hi Bhaar-Ki-Ati Hai..
Garv Hai shayad Desh Ke "Bhrashtachar" Par, 
Yaha Par Hone Wale "Ghotalo" Par,
Badte "Apradho" Par, 
Ya Badte "Atyacharo" Par ,

Bhartiyata ka Mudda To Kahi Reh Hi Nahi Gaya..
Har Taraf  Dharam Or Jati Ke Jhagde Hai,
Apne Hi Desh Me Hum Phela Rahe Unmaad
Phir Bhi
Kahte Hai Hum...........

Apne Desh Ke Paiso (Kaala Dhan) Se
Dusre Mulko Me Kar Raha Ujiyala.
Apne Desh Ka Jab Baccha Rahna Chahta Videsh Me..
Tab Bhi kahte Hum........

Nahi Yu Hi Nahi Kahte Ki Hame Garv hai,
Hamari Bahne Wali Rago Me Bhart To Taye Hai,
Tab Hi To Hum Bhartiya Hai..
Kitni Hi Boli Ke Log Yaha,
Tyoharo Ka Jaha Hai Sangam....

Ganga Jamuna Ki Tehzib Jaha, 
Jaha "Ram Ka Rahim" Bakhan Kare, 
Jaha "Kesariya"(FOR HINDU RELIGIOUS)
        "Safed",(FOR CRISTIAN RELIGIOUS)
        "Hara",(FOR MUSLIM RELIGIOUS)
Milkar Tiranga Banate Hai,

Jaha Me Yatharth Nahi Hota
"HUM" Se Sab Kuch  Hai Jaha,
Jaha Prem Ki Dhara Bahti Hai,
Hum Us Desh Me Rahte Hai, 
Jis Desh Ko Bhart Kahte Hai......

Yu Hi Nahi Garv Humko 
Yu Hi Khud Ko Bhartiya Nahi Kahte Hai,
 Hum Bhartiy Hai Garv Se Kahte Hai..............