Thursday, August 19, 2010

PRAY OF GOD

BADA TAALAB
Bhar De Taal Nadi Tu Saare
Hum Bacche Hai Tere Pyare
Haath Pasare Khade Hai Saare 
Hum Aaye Tere Dware 
Bhar De Taal Nadi Tu Saare
Hum Bacche Hai Tere Pyare


Jungle Kaate Saare Humne
Cheer Pahaad Samtal Banaye Humne
Galti Thi Ye Humari 
Jo Khud Ko Khuda Banaya Humne
Bhar De Taal Nadi Tu Saare
Hum Bacche Hai Tere Pyare 

Humko Tune Hi To Banaya 
Haath Pasare Khade Hai Saare
Kacchi Maati Ko Pakaya
Jeevan Kya Hai Ye Samjhaya
Bhulo Ko Tu Maaf Kar de 
Bas Ab To Basrat Kar De


Bhar De Taal Nadi Tu Saare
Hum Bacche Hai Tere Pyare......

Wednesday, August 4, 2010

APNI KAHANI

Sapno ki duniya thi meri
apno ka tha saaya
armano ke pankh the mere
udne ka josh ham-saaya

par kisi ne pal bhar me hi toad diya
mere armaano ke beach muje hi sulagta choad diya
jinda aadmi ko kya khub murde ki tarah nocha he
is jindgi me kadam-kadam par dhoka he
log kehte he dosti jeene ka ek aur mouka he
aajmakar dekho use
ke sach bahut kadwa hota he
choat jab apko lagti he to dard bhi
sirf apko hota he.....

KITABE

jhakti he kisi kone se
dhul ki parto me jami
makdi ke jalo se ghiri

meri kitabe...........
puchti he mujse sawal
seene se lagata tha muje>
rakhta tha apne dil ke pass
apni mehbooba samajkar
palat-ta tha panno ko mere
apni ungliyo ko hoto se lagakar
milti thi jaha tere pyar ki nishani
wo gulab ka sukha phul
aur aankho se gira wo
paani
kabhi soya he jaha tu
mere aanchal me tera sar rakh kar
to kabhi sirhane rakha takiya samajkar

phir kyu bhul gaya tu mujko aaj
apni mehfilo me le jane ko
kya mil gaya he tujko koi or
jise kehta he aaj tu apni kahani
jo chupaya nahi tha tune mujse tera wo dard
wo hasin jindgi ki teri kahani

meri wo kitabe.......
par nahi de pata me use koi jawab
meri kya he aaj haqiqat
kya aaj bhi girta he meri aankho se wo pani
bas chod diya he mene unhe kisi kone me
jaha barsta he chat se pani
taki kar na sake mujse wo koi sawal
or rakhi rahe kisi kone me

meri wo KITABE

Thursday, April 8, 2010

MASTI KI PAATHSHAALA (Fun of college life)

Armaano ko sajakar, kitabo ko uthakar
Sapno ke pankh lagaye, jab pahuche
Hum masti ki paathshaala
Socha aub to jivan ki safai hogi
Sanjidgi se padai hogi.
Par ye kya pehle hi din, dhamaka hua
Raging se sabka,mukabala hua
Par ye kya ye to kisi junior ka dhamal tha
Are ye to apna hi kamaal tha
Kuch dino ki senioro se luka-chupi,ke baad
Jab humne class ka rukh kiya
To laga yaha apni kya kisi se banegi
College ki gadi patri par kese chalegi
Yahi soch ke kai din nikaal diye
Exam, result ne padai ke saare dhang nikal diye
Fir class me kai jodi bani, apni bhi ek toli bani
Jaha padai se na tha koi sarokar
Bas masti ki thi bharmar
Phir hum bhi senior bane
Kabi juniors ki julfo ko kataya humne
To kabi thappad unme lagaya humne
Har roj wo college bunk
Or jab class me jana
To teacher ka hume jate hi bhagana
Baahar aakar dum lagana
Or har roj ka wo mehfile sajana
Koi puche to kaam ka bahana banana
Or ghanto wo paido ke niche bitana
Or tiffin ka khana kha jana
Kabhi class me piche bethkar muah chalana
To kabhi bahana banakar class se chale jana
Lab me instrument or baahar logo ko fodna
Har waqt ko masti ki paathshaala banaya he humne
Har rote hue ko hasaya he humne
Dil kisi ka nahi dukhaya he humne
Apne kaarva ko 7 rango se sajaya he humne
Sapt rishi he naam humara
Us aasma ko ghar banaya he humne
Masti ki paathshaala ko chalaya he humne.

Tuesday, March 9, 2010

DOSTO KA HAAL-E-DIL

Tune meri mohabbat ko fana samjha h
dil ne jo kiya use gunah samjha h
yaki kya dilau tujhe m aub apna
jab hatho par lagi teri mehndi ne bhi
mujhe anjan samjha h,
koi gunah ho to keh de mujhko
mene kaha khud ko bhagwan samjha h
aashiq hu aashiqi me teri khud ko
dhanvan samjha h,
khata he agar ye meri
to jaa tham le daaman kisi or ka
mohabbat he tu meri jise
mene apna arman samjha h
ibbadat h tu kisi or ki
ise hi mene apna anjaam samjha h.

PYAR K NAAM PAIGAM

Raste bahut h
manzile bahut h
kuch jane pehchane,
kuch anjane chehre bahut h
koi puche humse
gungunayenge hum tumhe
kyu ki tumhare chale jane par rone wale to bahut h, humsa koi hoto kehna
k ASHISH ki tum se bhi acchi hum par
GAJALE banane wale bhut h
k chod denge is jamane ko
ki tumko aub is jamane m  
humse bhi jyada chahne wale bahut h

Thursday, January 28, 2010

golden glob award, we all know A.R.Rehman is a king or god of music not in india but in all world he sholdn't want any discription for it.sluumdog milanior movienow everybody knows the movie name & Rehman is a globe award