Monday, March 21, 2011

HOLI HAI

Khelenge Holi sab,
Koi udayega abeer gulal
Koi bharega rango ki pichkari,
Rango se rang jayenge gaal hamare
Har rang hoga kuch khas,
Gujiya papdi har ghar banegi 
Har muah me hogi meethas,
Par kyu hum ye baat na samajte
Un paido ke jazbat na samajte,
Jinse juda har jeevan ka sawera
Unhi ko kyu hum jala-kar karte hai ujiyala
Or phir ek lamba andhera,
Hum kyu nahi samajte
Falgun ki wo baat,jo kehte hai wo,rango bhari masti ke saath
Tan par rang dalo or mann ko rang lo,
Tan se lagte ho gale,kabhi apne dil milao
Tan se rang chhudao par mann se dwesh mitao,
Meethai se meethi nahi hoti jindgi
Accha hai apni juban me meethas lao,
Jal jeevan ka hai ang,use holi ke bahane u na bahao
Har baar manao holi kuch esi 
Jisme pyar ke rango ki ho barsat
Sab milke khele jise ek saath,
Jal jangal ko na karenge yu barbaad
Or holi manayenge gulal ke saath,

HAPPY HOLI