Wednesday, August 4, 2010

KITABE

jhakti he kisi kone se
dhul ki parto me jami
makdi ke jalo se ghiri

meri kitabe...........
puchti he mujse sawal
seene se lagata tha muje>
rakhta tha apne dil ke pass
apni mehbooba samajkar
palat-ta tha panno ko mere
apni ungliyo ko hoto se lagakar
milti thi jaha tere pyar ki nishani
wo gulab ka sukha phul
aur aankho se gira wo
paani
kabhi soya he jaha tu
mere aanchal me tera sar rakh kar
to kabhi sirhane rakha takiya samajkar

phir kyu bhul gaya tu mujko aaj
apni mehfilo me le jane ko
kya mil gaya he tujko koi or
jise kehta he aaj tu apni kahani
jo chupaya nahi tha tune mujse tera wo dard
wo hasin jindgi ki teri kahani

meri wo kitabe.......
par nahi de pata me use koi jawab
meri kya he aaj haqiqat
kya aaj bhi girta he meri aankho se wo pani
bas chod diya he mene unhe kisi kone me
jaha barsta he chat se pani
taki kar na sake mujse wo koi sawal
or rakhi rahe kisi kone me

meri wo KITABE

No comments:

Post a Comment