Monday, February 9, 2015

Jeewan samarpan


Arpan h darpan h
Jeewan ek samarpan h
Mehak h foolo ki
Kaato ki chubhan h
Rangmanch ka parda h chadta h
Girta h
Ankho ka paani h
Khushi me jhalakte h
Gum me baraste h
Ladta h khud se hi
Or khud hi tadapta h
Mehfil ki roshni h
Raat ka andhiyara h
Masti ki bagiya h
Khamoshiyo ka pehra h
Chalta hu jis raste pe
Us raah ka sahara h
Jata nhi koi wha sath magar
Phir bhi ye mera ye hmara h
Fisal jati h hatho se
Samay ke ret ki tarah
  sangharsh h utkarsh h
Khi alp to khi purn viram h
Kese khe ki jeewan kya h
Khi arpan khi darpan
To khi samarpan jeewan h


No comments:

Post a Comment